main nahin chahta koi bachcha rail-gadi ka farsh saf kare nat ki rassi pe ab nazar aae jism ko modne ka fan sikhe sher ke munh mein hath ko dale tapte bhatton ki int ko dhoe hotalon aur sharab-khanon ki apne daman se mez saf kare sanp ko rakh ke ek pitare mein shah-rahon pe bhik bhi mange nach-gane se sab ko khush kar de boot polish mein khub mahir ho man ke aanchal se dur ho jae bap ke sath kaam par jae main to ye chahta hun har bachcha apne bachpan mein sirf bachcha ho