mere liye ye takalluf ye dukh ye hasrat kyun meri nigah-e-talab aakhiri nigah na thi hayat zar-e-jahan ki tawil rahon mein hazar dida-e-hairan fusun bikherenge hazar chashm-e-tamanna banegi dast-e-sawal nikal ke khalwat-e-gham se nazar uthao to wahi shafaq hai wahi zau hai main nahin to kya mere baghair bhi tum kaamyab-e-ishrat thin mere baghair bhi aabaad the nashat-kade mere baghair bhi tum ne diye jalae hain mere baghair bhi dekha hai zulmaton ka nuzul mere na hone se ummid ka ziyan kyun ho badhi chalo mai-e-ishrat ke jam chhalkati tumhaari sej tumhaare badan ke phulon par isi bahaar ka partaw hai main nahin to kya mere liye ye udasi ye sog kyun aakhir malih chehre pe gard-e-fasurdagi kaisi bahaar-e-ghaza se aariz ko tazgi bakhsho alil aankhon mein kajal lagao rang bharo siyah jode mein kaliyon ki kahkashan gundho hazar hanpte sine hazar kanpte lab tumhaari chashm tawajjoh ke muntazir hain abhi jilau mein naghma-o-rang-o-bahaar-o-nur liye hayat garm-e-tag-o-dau hai main nahin to kya