abdul-karim main jab tumhaare mathe par phaile dukhon mehnati hathon par qismat ki lakiron bhuk aur bimari se khelte tumhaare bachchon waqt se pahle budhi ho jaane wali tumhaari auraton qadam qadam par sisakti izzat-e-nafs aur phaile hue hathon ko dekhta hun to meri ragon mein lahu ke ba-jae nafrat bahne lagti hai main tumhaare liye kya kar sakta hun abdul-karim tumhein apni fasl khud kasht karni hai fasl pakne se pahle apni daranti tez karwa lo tumhein katni hai apni boi hui fasl zulm-amada hath aur kalaf lagi gardan aise waqton mein main tumhaare liye kuchh kar sakunga main karunga mazbut tumhaare hath aur dil badhaunga tumhaari himmat aur dikhaunga tumhein rasta nai zindagi ka