ghaar-e-hara-e-shaeri mein baithne jata hun main aur main hisar-e-zat bhi kar ke rakhunga is hisar-e-zat ke bahar koi bhi dashta shohrat ki shahr-nau laga baithe na apna dekhte rahna na karna intizar is ka ki main taza sahifa lane wala hun ki har taza sahifa ek din mansukh hona hai use wo mani-o-mafhum khona hai jo asal muddaa hai main wapas aaunga aur main 'kitab-e-zat' ek ham-rah launga 'kitab-e-zat' ki har aayat insani masail ka bayan hogi talash-e-hal ke maron ki umidon ka ziyan hogi masail jawedan hain zat ka asal-e-bayan hain aur farar un se bala hai aur yahi ramz-e-talash-e-'an-khuda' hai aur talash-e-'an-khuda' aaina-ha-e-zindagi aur zindagi ghaar-e-hira hai zat-e-insan ki isi ghaar-e-hira mein jab mayassar zat aaegi main wapas aaunga aur main 'kitab-e-zat' ek ham-rah launga koi bhi dashta shohrat ki shahr-e-nau laga baithe na apna dekhte rahna
This is a great kuch khona shayari. True lovers of yaad rakhunga shayari will love this. For some people shayari is the most enjoyable thing in life and they absolutely adore zoya shayari written. Please share if you liked this!!!