main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi mujh ko raaton ki siyahi ke siwa kuchh na mila main wo naghma hun jise pyar ki mahfil na mili wo musafir hun jise koi bhi manzil na mili zakhm pae hain bahaaron ki tamanna ki thi main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi kisi gesu kisi aanchal ka sahaara bhi nahin raste mein koi dhundla sa sitara bhi nahin meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi dil mein nakaam umidon ke basere pae raushni lene ko nikla to andhere pae rang aur nur ke dhaaron ki tamanna ki thi main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi meri rahon se juda ho gain rahen un ki aaj badli nazar aati hain nigahen un ki jin se is dil ne sahaaron ki tamanna ki thi main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi pyar manga to sisakte hue arman mile chain chaha to umadte hue tufan mile dubte dil ne kinaron ki tamanna ki thi main ne chand aur sitaron ki tamanna ki thi