makDi ki zehanat

sunaun tumhein aaj ek majra
ki ek ladka makdi ke pichhe pada

phir us ne bada ek danda liya
pakad kar sire par use rakh diya

wahan pas tha ek dariya bada
wo dande pe makdi ko le ke badha

bahut dur pani mein gada use
ki us waqt pani tha biphra hua

kinare wo chup-chap baitha raha
ki dekhen tamasha ab hota hai kya

nikalti hai dariya se kis tarah ye
chalo aao dekhen maza aaega

thi kuchh der makdi wahan dam-ba-khud
phir utri to har samt pani mila

kai bar utri chadhi phir na jab
rihai ka koi bhi rasta mila

to kuchh der wo sochti hi rahi
phir us ne wahan apna jala buna

yun hi sath-e-dariya pe phenka use
ki pani se zyaada wo wazni na tha

wo dande se jale pe aai to phir
thahar ke wahan aur jala buna

wahan se use phenka pani pe yun
ki kuchh dur aage wo jala badha

wo jale se jale pe aati rahi
yahan tak ki sahil qarib aa gaya

wo ladka use dekhta rah gaya
zehanat pe makdi ke hairan tha

wo makdi kinare pe yun aa gai
ki jaise wahan kuchh hua hi na tha

musibat mein sabit qadam jo rahe
wahi hai zamane mein sab se bada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close