us raste par do jismon ka ek saya tha! aur do ruhon ka ek maslak! gunj raha tha us raste par harf ka pahla sannata dhadkan ki tasbih musalsal ism anokhe padhti thi ruswai ki shokh hawaen bebaki se raqsan thin us raste par gahre baadal dhup kiran se ladte the khwab ke panchhi an-jaani samton mein udanen bharte the! phulon ne khushbu ka mantar phunk diya tha sinon par! us raste par tum the (shayad khud se na-waqif) us raste par main thi! aur main tum mein shamil thi zad-e-safar mein ek thakan thi, ek dukhan aur ek yaqin!! har qalb sarae hota hai aur ne hi guzargah har rasta kuchh raston se laut bhi jaen, dur nahin ja sakte hum kuchh manzar ban jate hain nadida hissa aankhon ka kuchh lamhon ki qaid hamesha dil ko katni padti hai