bachchon pe chali goli man dekh ke ye boli ye dil ke mere tukde yun roe mere hote main dur khadi dekhun ye mujh se nahin hoga main dur khadi dekhun aur ahl-e-sitam khelen khun se mere bachchon ke din raat yahan holi bachchon pe chali goli man dekh ke ye boli ye dil ke mere tukde yun roen mere hote main dur khadi dekhun ye mujh se nahin hoga maidan mein nikal aai ek barq si lahrai har dast-e-sitam kanpa banduq bhi tharrai har samt sada gunji main aati hun main aai main aati hun main aai har zulm hua baatil aur sahm gae qatil jab us ne zaban kholi bachchon pe chali goli us ne kaha khun-khwaro! daulat ke parastaro dharti hai ye hum sab ki is dharti ko na-dano! angrez ke darbano sahib ki ata-karda jagir na tum jaano is zulm se baz aao barrack mein chale jao kyun chand luteron ki phirte ho liye toli bachchon pe chali goli