man

bahut sal pahle
main ek bhigti raat mein

aakhiri show se lauta to dahliz par meri man
aahaton se gulu-gir aawaz mein puchhti thi

kahin mere bachche ko dekha hai bhai
mujhe yaad hai us ke chehre pe ghussa nahin tha

na honton pe harf-e-malamat na shikwa
wo chup-chap mujh se lipat kar

bahut der tak roi thi
balaon ke sagar mein dubi hui raat hai

baad-o-baran ke tufan se
dew-qamat darakhton ne apni jaden chhod di hain

hawa jaise bijli ke taron se uljhi hui
maut ki ragni ga rahi hai

bahut dur se aa raha hun
bahut der tak bhigne se badan kanpta hai

mere ghar ki dahliz khamosh hai
aur wo aankhen

jo mere liye jagti thin
yahan se bahut dur pedon ke sae tale so rahi hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close