man ka KHwab

main soi jo ek shab to dekha ye khwab
badha aur jis se mera iztirab

ye dekha ki main ja rahi hun kahin
andhera hai aur rah milti nahin

larazta tha dar se mera baal baal
qadam ka tha dahshat se uthna muhaal

jo kuchh hausla pa ke aage badhi
to dekha qatar ek ladkon ki thi

zamurrad si poshak pahne hue
diye sab ke hathon mein jalte hue

wo chup-chap the aage pichhe rawan
khuda jaane jaana tha un ko kahan

isi soch mein thi ki mera pisar
mujhe is jamaat mein aaya nazar

wo pichhe tha aur tez chalta na tha
diya us ke hathon mein jalta na tha

kaha main ne pahchan kar meri jaan
mujhe chhod kar aa gae tum kahan

judai mein rahti hun main be-qarar
piroti hun har roz ashkon ke haar

na parwa hamari zara tum ne ki
gae chhod achchhi wafa tum ne ki

jo bachche ne dekha mera pech-o-tab
diya us ne munh pher kar yun jawab

rulati hai tujh ko judai meri
nahin is mein kuchh bhi bhalai meri

ye kah kar wo kuchh der tak chup raha
diya phir dikha kar ye kahne laga

samajhti hai tu ho gaya kya ise?
tere aansuon ne bujhaya ise!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close