ek chuhiya ye boli bete se tujh se aankhen meri huin raushan hum yahan ke purane sakin hain kai pushton ka guzra hai bachpan wo jo is ghar ka hai bada dalan us mein rahte hain khane ke bartan pas ek tokari bhi rahti hai us mein hain aalu gobhi aur baigan neamaten sau hain tere khane ko lekin ai nur-e-chashm-o-jaan-e-man usi ghar ke hai ek kone mein tar ki jaliyon ka ek maskan log use chuhe-dan kahte hain hai ye chuhiyon ki qaum ka dushman chahe us mein hon neamaten lakhon hain wo sab teri maut ke karan tere jitne buzurg guzre hain hazm unhen kar gaya yahi dushman tu agar us ke pas ja pahuncha ho gai teri jaan ko uljhan rahna har waqt chuhe-dan se dur aur phirna har ek samt magan chuhe ka bachcha baz rah na saka kuchh to lalach tha aur kuchh bachpan raat ko us ke pas aa hi gaya ek luqme ki thi jo us ko lagan sar badhate hi lag gaya khatka phans gai chuhe-dan mein gardan