mere samne baitha ajnabi mujhe dekhta tha shayad koi aabla-pa tha meri aankhon se ho kar guzra shayad koi dariya tha koi sarab tha sabhi manzaron se ojhal traffic ke dhuen mein gum hota hua koi hujum tha jaise koi pur-sukun sa amawas raaton ka dard dekhte dekhte apni surat badalne laga tha main kahne hi wali thi ki mujhe tum chahte ho umr bhar ke liye aur itne mein mere sayyare ne us ke sayyare mein apni muddat puri ki aur ek alien force ki tarah kisi aur duniya ki or mujhe uda le gaya main ne kaha tha na waqt phisal jata hai hathon se jawan raaten zamanon ki aaghosh mein ek din thak kar so jati hain