tanha hasin hayat ke saghar ko kya karun sathi nahin to baada-e-kausar ko kya karun har husn par guman hai tujhe naqsh-e-yar ka ai ishq tere wahm-e-sarasar ko kya karun raushan the jis ke nur se baam aur aastan wo jalwa-gar nahin hai to us ghar ko kya karun jis mein wo dilkashi hai na wo shan-e-dilbari aise hasin se bhi hasin-tar ko kya karun jis ki jhalak pe lakh sitaron ko rashk tha wo lau nahin to mehr-e-munawwar ko kya karun ai zarf-e-did tu hi bata bazm-e-tur se jalwa jo uth gaya hai to manzar ko kya karun us ki taraf se to na thi kotahi-e-karam 'hindi' main khud hi apne muqaddar ko kya karun