khidki par mahtab tika tha raat sunahri thi aur diwar pe saat ginti soi soi ghadi ki sui chalte chalte samt ganwa kar ghaltan pechan thi main bhi khud se aankh chura kar apne haal se hath chhuda kar barson ko farsang bana kar jaane kitni dur chala tha jaane kis ko dhund raha tha dhundle dhundle chehre kaise rang rangile the pile pile phul the aanchal nile nile the kya chamkili aankhen kaise khwab sajile the lekin aankhen nam thin manzar sile sile the ek chehra tha raushan jaise chand ghataon mein ek muskan thi jaise bikhren rang fazaon mein manzar manzar takta jata chalta jata main is manzar se us manzar tak badhta jata main ek taswir ko ruk kar dekha ruk nahin paya main is khidki se us aangan tak jhuk nahin paya main jaise is shab chalte rahna qismat thahri thi mere taaqub mein yaadon ki pachhal-pairi thi