mere pyare khudawanda mujhe jab kun ki saat mein tere be-aib yakta dast-e-qudrat ne tere aadam ki baqi bach rahi mitti se gundha tha mera naqsha banaya tha to mujh mein kya tere aadam se kamtar ruh phunki thi ki jaise be-dili ujlat mein koi kaam nimtaya meri takhliq kya khaliq teri chashm-e-tasawwur ki kisi mansuba-sazi ki nahin marhun-e-minnat bhi mujhe paida kiya tu ne kisi duje ki khatir kya teri hikmat ke sare kar-khanon mein nahin kuchh tazkira mera mujhi par tohmat-e-awwal hai aadam ke bhatakne ki usi din se ye aadam jab kabhi bhatka hai ai maula tamam ilzam meri zat se mansub rahta hai zamin pe main tere naeb ki naeb hun usi ki har zarurat ka main saman hun mujhe ab zindagi-bhar ek saya ban ke jina hai kisi aadam ki khwahish aur marzi mein dhala ek aks ban kar zinda rahna hai mere takhliq hone ki yahi kya maqsadiyyat hai mere pyare khudawanda mujhe kyunkar na-jaane apne be-waqat fasane ke hawalon mein kahin par jhol lagta hai ye qissa kuchh ajab sa hai ki arz-o-arsh ka malik jo hai insaf ka khaliq wo itni be-rukhi be-e'tinai kaise bartega wo khud kaamil hai phir naqis ye paikar kyun tarashega kisi ki dil-lagi mein kyun mujhe duniya mein laega mujhe aisa bhi lagta hai ki ye gutthi bahut par pech farsuda khayalon ki kabhi to hal bhi honi hai aur is andher nagri mein azal se kamtari ka bojh dhoti bint-e-hawwa ki darakhshan kal bhi honi hai