qatl-gah ki raunaq hasb-e-haal rakhni hai gham bahaal rakhna hai jaan sambhaal rakhni hai zor-e-bazu-e-qatil intiha ka rakhna hai dashna tez rakhna hai aur bala ka rakhna hai aur kya mere qatil intizam baqi hai koi baat honi hai koi kaam baqi hai waqt par nazar rakhna waqt ek jada hai han bata mere qatil tera kya irada hai waqt kam raha baqi ya abhi ziyaada hai main to qatl hone tak muskurae jaunga