achanak ek shabih be-sada si jast bhar ke aaine ke pas se guzar gai siyah zard dhaariyan ki jaise lahr ek lahr se judi hui singar mez ek dam laraz uthi clock ka talai aks bhi dahal gaya badan jo tha bukhar ke hisar mein pighal gaya maraatib-e-wajud bhi ajib hain lahu ki kauniyat mein sifat aur zat mein ajab tarah ke bhed hain yaqin o zan ki chalniyon mein sau tarah ke chhed hain abhi to jagta tha main amiq dard mein karahta tha main phir aankh kaise lag gai abhi to sau raha tha main phir aankh kaise khul gai badan se ye lihaf ka pahad kaise hat gaya khabar nahin ki haddiyon ke jod kis tarah khule dahan farakh ho ke pichhe kaise khinch gaya nukile dant kis tarah nikal pade nigahen kaise shola-ru huin na jaane kaise dast-o-pa ki ungliyan mudi kamar lachak si kha ke kaise phailti gai ye jild kaise sakht khaal mein dhali ye gupphe-dar dum kahan se aa gai wajud ke kachaar mein dahadta hua zaqand bhar ke main kahan chala gaya mujhe to kuchh pata nahin maraatib-e-wajud bhi ajib hain