mas ki aurat

wo hamilin pasliyan
jo aadmi ke kankal ko

naw bana kar
khena chahti hain aaj

baad-e-mukhalif ke bar-aks
mauj-e-hawadis ke khilaf

apne mafad mein
to is mein

kya hai un ka qusur
tanhai se jo achanak

ghabra gae the hazrat-e-adam
bas isi baat ka sara fasana

sara futur
phir to pasli-e-adam se

numu-pazir hua wajud-e-zan
isi wajud-e-zan se pada

shayatin mein ran
hatta ki

gandum kha lene ki padash mein
bagh-e-bahisht ke makin

aa gae zer-e-zamin
gardish-e-falak ki zad mein

idhar
shajar-e-mamnua ka phal chakhne ke sabab

tauba karte rahe hazrat-e-adam
aur bahate rahe tamam umr

apne ashk-e-infial
ab jo faza badli hai achanak

to
un hi hamilin pasliyon ne

gandum ki targhib ko bhul ke
masawi haq ka

uthaya hai sawal
to is mein

kya hai in ka qusur
tanhai se jo achanak

ghabra gae the hazrat-e-adam
bas isi baat ka hai sara fasana

sara futur
faisla

tab bhi aadmi ke hath mein tha
faisla ab bhi hai

aadmi ke hath mein
aaya parastish kare ya huquq-e-musawiyana de

aur jise chahe badh kar apna le
ek taraf

narm garm mas ki aurat hai
to dusri taraf hai

jannat ki hur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close