nami de kar jo mitti ko musalsal gundhte ho tum batao kya banaoge koi kuza koi murat ya phir mahbub ki surat sukhnawar hun kaho to mashwara ek dun ye ghate ka hi sauda hai yahan mitti ki murat ki agar aankhen banaoge tumhein aankhen dikhaegi tarashoge zaban us ki to turshi jhel paoge agar jo dil banaya to hazaron khwahishen ban kar tumhein tum se hi mangegi ata-e-khilat-e-ahmar use khud-sar bana degi wahan apni mohabbat ka jo nadir taj pahnaya khuda khud ko hi samjhegi abhi bhi waqt hai mano irada multawi kar do ise mitti hi rahne do ise mitti hi rahne do