chandni raat ke hanste hue khwabon ki tarah nuqrai jism ka shadab gulistan le kar shokh aankhon ke chhalakte hue paimanon mein mujh tahi-dast ke aalam ka darman le kar aaj tu jin ko bujhane ke liye aai hai unhin shoalon se mere dil ne jila pai hai unhin shoalon ki tab-o-tab hai jis ne ab tak mere idrak ko be-soz nahin rakkha hai jabr ki chhanw mein parwan chadha hun phir bhi main ne insan ki azmat pe yaqin rakkha hai aise shoalon ki tapish teri panahon mein kahan aur ye soz-e-yaqin teri nigahon mein kahan unhin shoalon ki tamazat ka sahaara le kar barbariyyat ke har aiwan se takraya hun har kade waqt mein sangin chatanon ki tarah tund haalat ke tufan se takraya hun tu kahan aur meri jurat-e-be-bak kahan tujh ko is kahish-e-jaan-soz ka idrak kahan ab yahi shoale meri fikr-o-nazar mein dhal kar husn-e-ehsas ka shahkar nazar aate hain is tamaddun ki ghani raat ke sannate mein subh ki tarah ziya-bar nazar aate hain aur tu kahti hai is subah ka sauda kar lun dil mein in shoalon ke badle tere jalwe bhar lun jab bhadak utthenge har sard-o-siyah sine mein yahi shoale dil-e-afaq ko lau bakhshenge tira-o-tar dimaghon ko bujhe chehron ko azm-o-ummid ki gati hui zau bakhshenge aur ye zau hi banegi tere jalwon ka kafan aag ho jaega is se tera shadab-e-chaman mere aalam ka darman teri aankhon mein nahin apne ehsas ko sine mein tapan rakkhunga aaj tak main ne jise shola-fishan rakkha hai ab bhi wo aag yunhi shola-fishan rakkhunga mujh ko ehsas hai lekin tujhe ehsas nahin tere daman ki hawa mere liye ras nahin