ek pyara masum sa bachcha man ka sachcha aql ka kachcha wo farman-bardar bahut tha nek aur khush-guftar bahut tha aankhon mein ek khwab sajae us ne kuchh paise the bachae apni dhun mein khoe-khoe sare paise khet mein boe majra jab ye bap ne dekha apne bete se ye puchha khet mein kyon paison ko chhupaya bete ne phir sabab bataya dada aksar ye kahte the jo booge wo katoge