jati lahron pe tum ne kya dekha kaun si baat par machal uthe kaun sa sukh tumhein nazar aaya kaun sa dukh baha diya tum ne jati lahron ne kya diya tum ko sirf suraj ka tutta paikar aur kuchh chandni si pani mein upri sath se bahal to chuke ab kuchh andar bhi jhank kar dekho main hun ek mauj-e-tah-nashin mujh mein jati lahron ka bojh palta hai mere andar guhar machalta hai