ek din jab hum dam todenge to tabut mein sath hamare kya jaega kash kabhi ye socha hota rang-o-bu ki duniya mein kya zinda rahega koi hamesha dil ki nagri mein hum utren aur zara ye sochen bhai apne andar iman ki daulat rakh kar bhi kitne muflis hain hum aage ki mushkil ghati ko phir kaise hum par karenge aage ki manzil ke liye bhi rakht-e-safar kuchh bandhen jaldi waqt bahut hi kam hai bhai pichhe mud kar ye to dekhen maut hamare taaqub mein hai