apni soi hui duniya ko jaga lun to chalun apne gham-khane mein ek dhum macha lun to chalun aur ek jam-e-mai-e-talkh chadha lun to chalun abhi chalta hun zara khud ko sambhaalun to chalun jaane kab pi thi abhi tak hai mai-e-gham ka khumar dhundla dhundla nazar aata hai jahan-e-bedar aandhiyan chalti hain duniya hui jati hai ghubar aankh to mal lun zara hosh mein aa lun to chalun wo mera sehr wo ejaz kahan hai lana meri khoi hui aawaz kahan hai lana mera tuta hua wo saz kahan hai lana ek zara git bhi is saz pe ga lun to chalun main thaka haara tha itne mein jo aae baadal kisi matwale ne chupke se badha di botal uf wo rangin pur-asrar khayalon ke mahal aise do chaar mahal aur bana lun to chalun mujh se kuchh kahne ko aai hai mere dil ki jalan kya kiya main ne zamane mein nahin jis ka chalan aansuo tum ne to bekar bhigoya daman apne bhige hue daman ko sukha lun to chalun meri aankhon mein abhi tak hai mohabbat ka ghurur mere honton ko abhi tak hai sadaqat ka ghurur mere mathe pe abhi tak hai sharafat ka ghurur aise wahmon se zara khud ko nikalun to chalun