wo ja rahi hain saron pe patthar uthae mazdur aurten kuchh ye khurdure hath maile panw jami hain honton pe papdiyan si aur pasine mein hain sharabor sulagti dopahar mein wo mil kar ek diwar chun rahi hain hisar-e-sangin banega koi ye dekh kar haal un ka mujh ko khayal rah rah ke aa raha hai kahan hain wo marmarin si bahen wo gudgude hath narm-o-nazuk wo gesu-e-ambarin-o-mushkin wo tir-e-mizhgan kaman-e-abru wo lal lab aur wo ru-e-zeba wo naznin aurten kahan hain wo mah-jabin aurten kahan hain wo jin ki tarif karte karte adib-o-shair nahin hain thakte