mazdur ka qissa kya itna hi fasana hai lafzon mein faqat is ka hamdard zamana hai daulat ke numainde khud-sakhta leader hain hindu ko musalman se kaam in ka ladana hai bahrup badalte hain har roz nirale wo har haal mein in ko bas khair apni manana hai in se koi puchhe to leader hain ki dictator manzil hai kahan in ki kis rah se jaana hai hai daulat-o-sarwat ka kuchh nashsha jise sun le sar aaj gharibon ko nakhwat ka jhukana hai hushiyar gharibon ke badle hue tewar hain mane ki na mane tu ek bar jatana hai faulad ke panje se mumkin hai rihai kya kya nam-o-nishan apna khud tujh ko mitana hai ye thath tere ghafil sab jis ki badaulat hain kuchh is ke liye tujh ko taklif uthana hai mazdur ki azmat se inkar na kar ghafil mazdur ki thokar mein duniya ka khazana hai hum ye bhi samajhte hain aur khub samajhte hain dukh-dard mitane ko taklif uthana hai 'nazmi' ye 'jigar' ka bhi kya khub hi misra hai hum khak-nashinon ki thokar mein zamana hai