bachche hain hum lal-o-gohar kya hain hamari azmaten hum ba-saliqa ba-hunar mazur hum ko mat kaho raushan hain manind-e-qamar majbur hum ko mat kaho har dam bulandi par nazar khurshid hum mahtab hum mazur hum ko mat kaho shaista-e-adab hum majbur hum ko mat kaho khidmat ka raushan bab hum sada zaban shirin-sukhan andar se hain shadab hum hum hain umidon ki kiran mazur hum ko mat kaho hum phul hum jaan-e-chaman majbur hum ko mat kaho hum zindagi ka bankpan hum aasman par chhaenge mazur hum ko mat kaho hum raushni phailaenge majbur hum ko mat kaho aur kahkashan ban jaenge jis din hamari mehnaten duniya mein izzat paengi us din khulengi qismaten mazur hum ko mat kaho dengi jahan ko neamaten majbur hum ko mat kaho