khalwat-o-jalwat mein tum mujh se mili ho bar-ha tum ne kya dekha nahin main muskura sakta nahin main ki mayusi meri fitrat mein dakhil ho chuki jabr bhi khud par karun to gunguna sakta nahin mujh mein kya dekha ki tum ulfat ka dam bharne lagin main to khud apne bhi koi kaam aa sakta nahin ruh-afza hain junun-e-ishq ke naghme magar ab main in gae hue giton ko ga sakta nahin main ne dekha hai shikast-e-saz-e-ulfat ka saman ab kisi tahrik par barbat utha sakta nahin dil tumhaari shiddat-e-ehsas se waqif to hai apne ehsasat se daman chhuda sakta nahin tum meri ho kar bhi begana hi paogi mujhe main tumhaara ho ke bhi tum mein sama sakta nahin gae hain main ne khulus-e-dil se bhi ulfat ke git ab riya-kari se bhi chahun to ga sakta nahin kis tarah tum ko bana lun main sharik-e-zindagi main to apni zindagi ka bar utha sakta nahin yas ki tarikiyon mein dub jaane do mujhe ab main sham-e-arzu ki lau badha sakta nahin