jab megha aati hai sab ko pata chul jata hai kabhi us ki hansi se kabhi us ki khushbu se kabhi kanon ke jhumke kabhi aankh ka kajal sab ko bata dete hain megha kahin qarib hi hai us ki hansi ki khanak aaj-kal badi gahri hai aanchal bhi lahrae hain magar koi jaanta nahin is sari raunaq se pare ek dil hai jo dhdakna band karne ko hai sansen aksar ghutne lagti hain magar megha jagti hai phir se khud ko sanwarti hai!