dewtaon ne mujh se kaha tha ki jab chandr-maon ke aainon par gard jam jaegi aur suraj samundar ki gahraiyon mein utar jaenge tab har ek rang kalak mein tabdil ho jaega rasta rasta andhere bikhar jaenge aur tum ko hawa ban ke chup-chap andhe safar par nikalna padega hazaron baras maut ki wadiyon mein bhatakna padega mera jurm ye hai ki main aise suraj se paida hua jis ki taqdir mein ek pal ka faqat ek pal ka ujala likha hai mera jurm ye hai: ki main is tamashe mein laya gaya aakhiri aadmi hun