qalam ko mere ye qasam hai dilai na haq se kare bhul kar bewafai hai jamhur ki bas amanat qalam ye na masnad ki qurbat ise ras aai tasanno' se nafrat hai mere qalam ko ‘alamat mere she'r ki be-riyai hai izhaar ki khub jurat qalam mein hai pur-kham go meri naghma-sarai main ashkon mein khun-e-jigar hun milata bane tab qalam ki mere raushnai mera sath de ai qalam tu wahan tak takhayyul ki mere jahan tak rasai 'sada' lauh chhin jae tute qalam bhi lage jo kabhi ‘illat-e-khud-satai