mujhe tum se koi mohabbat na ulfat talluq bhi ab hai bara-e-talluq magar tum se jab bhi mila hun mujhe mera saya jise main wahin chhod aaya jahan wo khayalon ki wadi mein khwahish ki titli ke pichhe uda ja raha tha tumhaari ghani zulf ki badliyon mein zamin se bahut dur lekin mere pair mein dor aisi bandhi thi ki jis ne mujhe badliyon se utha kar zamin par bitha kar mere chaaron jaanib kai daere bun diye hain hai dushwar jin se nikalna magar tum se jab bhi mila hun mujhe mera saya bahut yaad aaya