isar ka ye gulsitan jamhuriyat ka pasban amn-o-ahinsa ka nishan bapu ka khun jis mein rawan mera watan hindostan mera chaman jannat-nishan mere watan ke baam-o-dar ye raushniyon ke nagar ye jagmagati har dagar hanste hue sham-o-sahar ye bastiyan ye wadiyan hai zindagi jin mein rawan mere watan ki shan hain mere chaman ki shan hain ye pech-o-kham khati hui masti mein lahraati hui jharnon se ithlati hui hansti hui gati hui ye jhilmilati naddiyan ye lahlahati khetiyan mere watan ki shan hain mere chaman ki shan hain ye kar-khane ye millen tamir ki ye manzilen ye daftaron ki filen mehnat-kashon ki mahfilen ye unchi unchi chimniyan faulad ki ye bhattiyan mere watan ki shan hain mere chaman ki shan hain ye walwale ye hausle ye patriyon ke silsile railon ke badhte qafile ghatti huin ye duriyan badhte hue ye karwan mere watan ki shan hain mere chaman ki shan hain school-o-college madrase ilm-o-hunar ke silsile tamir ke ye raste tahzib ke ye qafile mitti hui be-kariyan badhti hui khush-haaliyan mere watan ki shan hain mere chaman ki shan hain har samt ye guftar hai har samt ye lalkar hai har shakhs ab bedar hai har fard ab tayyar hai hain desh ke sab pasban ye budhe bachche ye jawan mere watan ki shan hain mere chaman ki shan hain