agar wo tumhaari aankh se gir jae to mera zaiqa ek aansu ki tarah ek yaad ki tarah hai mera zaiqa agar wo mere dil se nikal jae agar wo kahin na ja sake to mera zaiqa ek khidki ki tarah hai ek kahani ki tarah hai mera zaiqa agar wo khatm na ho sake agar wo sunaya na ja sake to mera zaiqa ek khwab ki tarah hai ek time-bomb ki tarah hai mera zaiqa agar use chhua na ja sake