kaenat ke intizam mein ek chhota sa zarra hun main lekin itna jaan gaya hun mere andar ek sahra hai jo sadiyon se pyasa hai main wo amrit dhundh raha hun jis se us ki pyas bujhe mere andar hai ek sagar kitna gahra koi na jaane ghota-khor ke rup mein aksar koshish ki hai us ki tah tak pahunch sakun be-shak bade nizam ka chhota sa hissa hun lekin mujh mein wo wusat hai jis mein sau sahra kho jaen mujh mein hai gahrai aisi jis mein kai samundar dube mere andar ek anokhi duniya hai kaenat us ka chhota sa hissa hai