ab tak mere giton mein ummid bhi thi paspai bhi maut ke qadmon ki aahat bhi jiwan ki angdai bhi mustaqbil ki kirnen bhi thin haal ki bojhal zulmat bhi tufanon ka shor bhi tha aur khwabon ki shahnai bhi aaj se main apne giton mein aatish-pare bhar dunga maddham lachkili tanon mein jiwat dhaare bhar dunga jiwan ke andhiyare path par mishal le kar niklunga dharti ke phaile aanchal mein surkh sitare bhar dunga aaj se ai mazdur kisano mere git tumhaare hain faqa-kash insano mere jog-bahag tumhaare hain jab tak tum bhuke nange ho ye naghme khamosh na honge jab tak be-aram ho tum ye naghme rahat-kosh na honge mujh ko is ka ranj nahin hai log mujhe fankar na manen fikr-o-fan ke tajir mere sheron ko ashaar na manen mera fan meri umiden aaj se tum ko arpan hain aaj se mere git tumhaare dukh aur sukh ka darpan hain tum se quwwat le kar ab main tum ko rah dikhaunga tum parcham lahrana sathi main barbat par gaunga aaj se mere fan ka maqsad zanjiren pighlana hai aaj se main shabnam ke badle angare barsaunga