ai mere hasin-khwabo tum kahan se aae ho kis ufuq se ubhre ho kis shafaq se nikhre ho kin gulon ki sohbat mein tum ne tarbiyat pai kis jahan se lae ho ye jamal-o-ranai jel to bhayanak hai is zalil duniya mein husn ka guzar kaisa rang hai na nikhat hai nur hai na jalwa hai jabr ki hukumat hai tum kahan se aae ho ai mere hasin-khwabo main ne tum ko dekha hai yaad ab nahin aata shayad ek ladki ki thartharaati palkon mein jagmagati aankhon mein ya kisi tabassum mein jo naha ke nikla ho aansuon ki shabnam se ek humakte bachche ki mutthiyon ke phulon par titliyon ki yurish si aur man ki nazron mein saikdon umidon ke shokh rang gul-daste main ne tum ko dekha hai nannhi nannhi gudiyon mein nachte khilaunon mein ya rabar ki gendon mein main ne tum ko dekha hai ghutniyon chale ho tum totli zabanon se tum ne dudh manga hai ek shahzada tha ek shahzadi thi is hasin kahani par jaane kitne bachchon ne apne sar uthae hain jaane kitni aankhon mein phul muskurae hain aur main samajhta hun tum isi kahani ki sar-zamin se aae ho kuchh kisan kanyaen sabz o surkh shishon ki chudiyan kalai mein aur galat ki chandi ki hansuliyon se gardan mein nim chand ke halqe choliyon pe lahngon par zard zard mitti ke zard bel-bute se maile maile aanchal par baaliyon ke bose hain un ke hath mein hansie git gane lagte hain jhum jhum kar paude apna sar jhukate hain nau-jawan lathyare khet ki munderon par prem git gate hain ai mere hasin-khwabo tum inhen bahaaron ki konpalon se phute ho ek kar-khane mein chand nau-jawanon ne anjuman banai hai aur is mein lenin ki ek kitab padhte hain sun rahi hain diwaren hans rahi hai tariki nau-jawan baithe hain aur kitab padhte hain ek ek jumle par chaunk chaunk padte hain ek ek fiqre par apna sar hilate hain gah aah bharte hain gah muskuraate hain main ne un ke sinon mein ai mere hasin-khwabo tum ko nachte dekha main ne tum ko dekha hai jab siyah mehraben aasman pe banti hain jab sukut ki pariyan kahkashan pe chalti hain gesuon ki nikhat se jab hawa mahakti hain jab faza chahakti hai mere garm honton par pyar thartharaate hain aur meri mahbuba apne rang-e-ariz se bijliyan banati hai aur meri nazron mein ek jahan mitta hai ek jahan banta hai ek zamin hatti hai ek zamin aati hai main asir hun lekin tum ko koi bhi qanun qaid kar nahin sakta sar-buland aur aazad yun hi muskurae jao mere dil ki duniya mein yun hi jagmagae jao qaid-o-band ke jallad tum ko pa nahin sakte lambe lambe zalim hath tum ko chhu nahin sakte ai mere hasin-khwabo