mere khwab so ja meri aankh mein tairti khanqahon mein ab sans lete hue sare darwesh mitti ki khushbu ko tarse hue hain mujhe tu ne jitne zamanon ki dhupon se dhoya hai ab tak wo nafrat adawat se gundhi hui hain jo sadiyon ke chehre dikhae hain tu ne wo sab khurdure hain meri ninden un se udhadne lagi hain mere khwab so ja ki tu ne mere ashk noche aur un ki sadaon ko bhi khub raunda main ab tere ghaaron se bahar na jhankun to meri nai nasl andhe kunen mein giregi mere khwab so ja mujhe jagne de ki ab main teri silwaton mein ghutan ka safar tai karunga to mar jaunga