raat ki kokh se subh ki ek nannhi kiran ne janam yun liya shab ne nannhi shafaq ki gulabi hasin mutthiyan khol kar kuchh lakiren padhin aur saba se na malum chupke se kya kah diya yun ki shabnam ki aankhon se aansu bahe ek sitara hansa chandni muskuraati hui chal padi aur naqahat se pahlu badalte hue chaunk kar meri man ne bade shauq se kuchh ishaara kiya aahaton aur sargoshiyon mein kisi ne kaha aah ladki hai ye itni afsurda aawaz mere khuda meri pahli samaat pe likkhi gai meri pahli hi sanson mein ghola gaya in shikasta se lahjon ka zahrila-pan aah ladki hai ladki hai ladki hai ye is ki qismat ki mango dua ab bhi meri samaat pe likkhi hai wo mere purkhon ki pahli dua