ab ke mitti ki ibarat mein likhi jaegi sabz patton ki kahani rukh-e-shadab ki baat kal ke dariyaon ki mitti hui mubham tahrir ab faqat ret ke daman mein nazar aaegi bund bhar nam ko taras jaegi be-sud dua nam agar hogi koi chiz to meri aankhen mera ujda hua chehra meri patthar aankhen qaht-e-afsana nahin aur ye be-abr falak aaj us des kal is des ka waris hoga hum se tarke mein milenge use bimar darakht tez kirnon ki tamazat se chatakhte hue hont dhup ka harf-e-junun lu ka wasiyyat-nama aur mere shahr-e-tilismat ki be-dar aankhen meri be-dar meri banjar meri patthar aankhen