mir ho mirza ho mera ji ho na-rasa hath ki nam-naki hai ek hi chikh hai furqat ke bayabanon mein ek hi tul-e-alam-naki hai ek hi ruh jo behaal hai zindanon mein ek hi qaid tamanna ki hai ahd-e-rafta ke bahut khwab tamanna mein hain aur kuchh wahme aainda ke phir bhi andesha wo aaina hai jis mein goya mir ho mirza ho mera ji ho kuchh nahin dekhte hain mahwar-e-ishq ki khud-mast haqiqat ke siwa apne hi bim o raja apni hi surat ke siwa apne rang apne badan apne hi qamat ke siwa apni tanhai-e-jaan-kah ki dahshat ke siwa! dil-kharashi o jigar-chaaki o khun-afshani hun to nakaam pe hote hain mujhe kaam bahut muddaa mahw-e-tamasha-e-shikast-e-dil hai aaina-khane mein koi liye jata hai mujhe raat ke phaile andhere mein koi saya na tha chand ke aane pe sae aae sae hilte hue ghulte hue kuchh bhut se ban jate hain mir ho mirza ho mera ji ho apni hi zat ki ghirbaal mein chhan jate hain dil-kharashida ho khun-dada rahe aaina-khane ke rezon pe hum istada rahe chand ke aane pe sae bahut aae bhi hum bahut sayon se ghabrae bhi mir ho mirza ho mera ji ho aaj jaan ek nae hangame mein dar aai hai mah-e-be-saya ki darai hai yaad wo ishrat-e-khun-nab kise fursat-e-khwab kise