wasi' aasman mein uda magar na ruk saka na chhu saka kisi ko main na koi mujh ko chhu saka uda magar hawas ka asir jism mubtala-e-qaid-e-intiha hua dur tak faza faza hui dur tak khala khala hua to yun main khushbuon ki qaid se riha hua ek 'umr tak buland-qamaton ke sar pe nachta raha zamin ka raqs ruk gaya phir ek din zamin aaftab se mili jale bhune se log ruk gae sabhi mere qadam pe jhuk gae magar main apne qad ke napne ki fikr mein ghula kiya tamam shishe chur-chur samundaron ki sath bhi nazar na aai dur-dur wasi' aasman mein udan bhar ke thak gaya tha phir zamin par ruka main mittiyon ke jism ka asir tha main mittiyon ke jism ka asir hun thake qadam ka bojh kaun sah sakega sondhi khushbuon ke masiwa man ke aanchalon ke masiwa