yaad rahe chahaton ka ye shahr khwabon ka mohalla ishq ki gali aur kachcha makan mohabbat ka jo hamara hai khushbuon ki diwaren hain jahan ehsasat ki chhaten hansi aur aansuon se lipa-puta aangan hai hara-bhara gahri chhanw wala pyar ka ek ped hai jahan qisson ke chauke mein baaton ke kuchh bartan aundhe hain sharmile se to kuchh sidhe muskuraate hue shikayaton ke dhuen se kale kuchh bartan hamara munh takte hain ki kyun nahin unhen saf kiya ragad kar hum ne bhitar ek trunk bhi hai lamhon se bhara reshmi chadaron mein yaadon ki silwaten hain aale mein jalta charagh wo khutiyon par latakte do jismon ki jhilliyan jangalon aur khidkiyon se jhankti chahaten hamari darwaze ki chaukhat se tapakti hui barsat ki pagal bunden kuchh hawa ke kuchh jhonke aur na jaane kya kya sab bik jaega ek din samaj ke hathon riwajen boliyan lagaengi zat bhaw badhaegi apna aur kharid lenge janam ke zamin-dar wo makan hamara