mohabbat ke raste mein

mohabbat ke raste mein
ek sadak hai

jo mohabbat ki taraf nahin jati
aur ek pul hai

jo kisi sadak ya dariya ko
par karne mein istimal nahin hota

mohabbat ke raste mein
ek ghar hai

jis mein mohabbat
kabhi nahin rahti

aur ek qila
jis mein andar dakhil ho ke

koi bahar nahin nikal sakta
mohabbat ke raste mein

ek darakht hai
hum jis ke sae mein

dhup se nahin bach sakte
aur ek diwar hai

jis par kabhi dhup nahin padti
mohabbat ke raste mein

ek samundar hai
jis mein kabhi raat nahin hoti

aur ek jangal
jis mein phaili hui raat ko

hum par nahin kar sakte
mohabbat ke raste mein

hawa aur udasi ke rukh par
ek kamra hai

jis mein baith ke
hum kisi ko yaad kar sakte hain

aur bhula sakte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close