mohabbat ki hararat dil ko pighlae bina rah hi nahin sakti kisi ki ghatti badhti umr ka us se talluq kya mohabbat ka na koi waqt hota hai na us ki umr hoti hai ye jab chahe jise chahe jakad leti apne sehr mein ek-dam mohabbat ki bhi koi umr hoti na-jaane kis ne tum se kah diya kis shai ke nashshe mein main us se jab mila mujh ko hansi aai thi ye sun kar mohabbat ke nae mafhum se waqif na hone par mujhe apni jahaalat par mohabbat ki bhi koi umr hoti hai main khud se puchhta hun aur phir khud hi jawab aane se pahle main simat jata hun apni zat ke barson purane khol ke andar usi thithure hue mahaul ke andar