meri zindagi mein bas ek kitab hai ek charagh hai ek khwab hai aur tum ho ye kitab o khwab ke darmiyan jo manzilen hain main chahta tha tumhaare sath basar karun yahi kul asasa-e-zindagi hai isi ko zad-e-safar karun kisi aur samt nazar karun to meri dua mein asar na ho mere dil ke jada-e-khush-khabar pe ba-juz tumhaare kabhi kisi ka guzar na ho magar is tarah ki tumhein bhi us ki khabar na ho a love poem