mohabbat mar nahin sakti haqiqat phir haqiqat hai haqiqat mar nahin sakti khudawand-e-mohabbat ki shariat mar nahin sakti mohabbat mar nahin sakti bahar-su jabr-o-istibdad chahe suliyan gade utar aaen balaen hath mein zahrab le le kar faza barud ban kar bhi sulag uthe to kya hoga ye wo jazba hai jo zarron ke sine mein numu pae ye wo naghma hai jo zakhmon ke honton se ubharta hai mohabbat husn-e-fitrat hai ye fitrat mar nahin sakti mohabbat mar nahin sakti kamal-e-fikr-e-taghuti koi tirshul le aae farain-e-kuhan dhal jaen chahe paikar-e-nau mein samundar ko sitamgar-hath gar tezab kar dalen hawaon mein halakat-giriyan tahlil kar dalen mohabbat nur hai aaludgi se jism marte hain mohabbat mein koi aaludgi zam ho nahin sakti ye wo quwwat hai jo shaitan se bhi dar nahin sakti mohabbat mar nahin sakti