wo ek diwana sa ladka kisi se pyar kar baitha nahin socha kabhi us ne kisi ki wo amanat hai kisi ke ghar ki izzat hai samajhta kyun nahin hai wo nahin mumkin ye chahat hai ye rasmon se baghawat hai wo apna dil dukhata hai use pahron manata hai parastish us ki karta hai usi ko pyar karta hai usi ko sochta hai kyun usi ko chahta hai kyun wo ye karta hai nadani kisi ki us ne kab mani wo jis ka pak daman hai pareshan hai wo hairan hai wo bebas kah nahin pati tera dukh sah nahin pati kisi ki rah mein kante kabhi wo bo nahin sakti bas itna tum samajh lena wo teri ho nahin sakti