main bhatka hua ek musafir rah-o-rasm-e-manzil se na-ashnai pe nazan taaqub mein apni hi parchhaiyon ke rawan tha mere jism ka bojh dharti sambhaale hue thi magar us ki ranaiyon se mujhe koi dil-bastagi hi nahin thi kabhi rah chalte hue khak ki ruh-parwar kashish main ne mahsus ki hi nahin thi main aankhon se bina tha lekin mere chaar-su chadaren aainon ki tarah thin ki jin ke liye mera partaw hi tha ek zinda haqiqat kisi dusre ko gawara na thi is mein shirkat main kanon se bahra nahin tha magar jis tarah kohna gumbad mein chamgadadon ke bhatakne ki aawaz gunjti nahin hai khule aasman ke parindon ki chahkar andar pahunchti nahin hai isi tarah mera bhi zauq-e-samaat rasa tha faqat apni hi dhadkanon tak bas apne lahu ki subuk aahaton tak main bhatka hua ek musafir meri rah par mit chuke the safar ke ishaaraat sare faramoshiyon ki ghani dhund mein kho chuke the jihat ke nishanat sare rah-e-rasm-e-manzil se main aashna hi nahin tha magar main akela karodon ki is bhid mein bhi udas aur akela taaqub mein apni hi parchhaiyon ke rawan tha main shayad hamesha yunhi apni parchhaiyon ke taaqub mein hairan phirta agar raushni mujh pe chamki na hoti mubarak wo saat ki jab maut aur tirgi ke ghane saeban ke tale raushni mujh pe chamki mere dil pe dharti ne aur us ke arfa mazahir ne apni mohabbat raqam ki mubarak wo saat ki jab barq ke kode lahraati lohe ki chilon se aur aatishin tir barsate faulad ke par darindon se mudbhed mein main ne dekhe mere sathiyon ke jigar mein taraazu hain jo tir hua hun main khud un ka nakhchir jo qatra lahu ka gira un ke tan se baha hai wo mere badan se mubarak wo saat ki jab main ne jaana meri dhadkanon mein karodon dilon ki sada hai meri ruh mein mushtarak garche qalib juda hai