zamane! tahniyat tujh ko ki phir maidan mara hai magar ab ke jo haara hai bada hi sakht-jaan nikla muqabil tere aane ko bahut tayar phirta tha liye hathiyar phirta tha wafa ke, zarf ke aankhon mein raushan khush-gumani ke labon par khelti khwahish, sukhan mein nachti ek hausla-mandi ragon mein daudta sayyal irada tha badan par khwab ki pahne zira-baktar jabin par be-niyazi khud ki surat tikai thi gira ke farsh par is ko bada arsa laga tujh ko ki is kashana-e-ummid bhi lams-e-zamin chakkhe phir is ke baad kitni der tak us ka adam taslim-e-paspai mein chillate hue rahna zamane tahniyat tujh ko ki ab ki martaba jis ko pachhada hai bada hi sakht-jaan tha wo!!